Par ab qabrastan ke intezamiya qul ki mitti dene se rok rahe hai. Kya wo saheeh kar rahe hain.
Hazrat Rehnumai Farmayein.
Jawab:
Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna Imam Ahmad Raza fazil e barailvi RadiAllahu Taala Anhu se sawal hua
ke bawaqt e dafn e maiyyat ke dua wagairah parh ke chhote chhote dhela wagairah par dam kar ke qabr ke andar rakhna jaayez hai ya nahi?
Iske Jawab mein irshad farmate hai.
Koi harj nahin jabke jagah na ghere.
Fatawa razviyyah jild 4 safah 161
Huzoor Sadrushshariah badruttariqah RadiAllahu Taala Anhu irshad farmate hain
Surah Ikhlas Parh kar qabr ke andar mitti rakhne mein harj nahi.
Fatawa amjadiya jild 1 safah 333
Dosri jagah farmate hain
Kuchh kankariyo par quran majeed parh kar dam kar ke qabr mein bagarz e tabarruk rakhein is mein aslan harj nahi, balke behtar hai.
Fatawa amjadiya jild 1 safah 330
Qul ki mitti rakhne mein quran shareef ki soorat ki tilawat ki jaati hai.
Lihaza isko rokna quran ki tilawat se rokna hai aur ise isal e sawab bhi karte hain isse bhi rokna hua.
Lihaza isko rokna munasib nahi.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi