Kya Durood E Akbar Aur Dusre Durood Shareef Bhi Hum Marhumeen Ko Baksha Sakte Hai?
Aur Ayat E Karima (LAILAHA ILLA INTA SUBHANAKA INNI KUNTU MINAZ ZALIMIN) aur ASTAGHFAR Bhi Baksha Sakte Hain?
Hazrat Jawab Inayat Farma Kar Hamari Rahnumai Farmayein
Jawab:
Durood o Tasabeeh o Azkaar Sab Baais e Sawab Hain Aur Jis Kaam Par Sawab Milta Ho Use Marhumeen ko Bakhshane Mein Koi Harj Nahi.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi