Mayyat Ke Ghar Jo Khana Bheja Jata Hai.

Wah Khana Auroke Liye Bhi Khana Kaisa Hai?

Jawab:

Mayyat Ke Ghar Walo Ko Jo Khana Bheja Jaata Hai Yah Khana Sirf Ghar Waale Khaayein Aur Unhi Ke Laaik Bheja Jaayein Jyaada Nahi. Auro Ko Wah Khana Mana Hai.

Qashfulaza

Aur Sirf Mayyat Ke Azizo Ka Ghar Mein Baithna Ki Log Unki Taaziyat Ko Aayein Isme Haraj Nahi Aur Makan Ke Darwaje Par Yaani Aam Rasta Par Beechone Beecha Kar Baithana Buri Baat Hai.

Aalamgeeri, Durre Mukhtaar

Mayyat Ke Padosi Ya Door Ke Rishtedaar Agar Mayyat Ke Ghar Walo Ke Liye Us Din Aur Raat Ke Liye Khana Laaye To Behtar Hai Aur Unhe Israar Karke Khilaye.

Durre Mukhtaar
Bahar E ShariAt 4tha Hissa

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Sahab

Share your love