Jaise ke kisi ne nafl roze ki mannat mangi ho or Ashura ko roza bhi rakhna hai.
To kya 2 roze rakhne honge, ya ek mein 2 niyat kar sakta hai.
Allah ke fazal se uski mannat puri hogayi hai to kya karein.
Jawab:
Agar Mannat Maana hai to Us par Roza rakhna Wajib hai Aur Jab Roza rakhein.
To usi mannat ki niyat Raat hi mein Fajr se pehle kar lena zaruri hai aur Ashura ke din rakhega, to Allah ki Rahmat se Ummeed hai ke us din ki bhi Barkatein Hasil ho.
Wajib aur nafl ki niyat ek sath nahi kar sakta.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi