Haiz Ke Baad Humbistari (Sohbat / Jima / Mubashrat) Kab Jayez Hai?

Jawab:

Hamare Imam, Imam E Azam Abu Hanifa Radi Allaahu Taala Anhu Ke Nazdik Aurat Ko Haiz Ka Khoon (10) Das Dino Ke Baad Aana Band Ho Jayein To Ghusl Se Pahle Bhi Sohbat Karna Jayez Hai.

Lekin Behtar Yah Hai Ke Aurat Ghusl Karle Uske Baad Hi Mubasharat Ki Jayein.

Hadis: Hazrat Saalim Bin Abdullaah Aur Hazrat Sulemaan Bin Yasir Radi Allaahu Taala Anhuma Se Haiz Waali Aurat Ke Baare Mein Puchha Gaya Ki.

Kya Uska Shauhar Use Paak Dekhe To Ghusl Se Pahle Sohbat Kar Sakta Hai Yaa Nahi?

Dono Ne Jawab Diya.

Na Karein Yahaan Tak Ki Wah Ghusl Kar Le.

Moattaa Imam Maalik, Jild No 1, Baab No 26, Hadis No 90, Safa No 79

Masala: Das (10) Din Se Kam Mein Khoon Aana Band Ho Gaya Ho, To Jab Tak Aurat Ghusl Na Karein Sohbat Jayez Nahi.

Bahare Shariyat, Jild No 1, Hissaa No 2, Safa No 47

Masala: Aadat Ke Din Pure Hone Se Pahle Hi Haiz Ka Khoon Aana Band Ho Gaya To Agarche Aurat Ghusl Karle Sohbat Jayez Nahi.

Maslan Kisi Aurat Ki Haiz Ki Aadat Chaar Din Wa Chaar Raat Thi Aur Is Baar Haiz Aaya Teen Din Wa Raat To Chaar Din Wa Raat Jab Tak Pure Na Ho Jayein Sohbat Jayez Nahi.

Bahare Shariyat, Jild No 1, Hissaa No 2, Safa No 47

Share your love