Haiz wa Nifas me roza, namaz aur quran padhne kaisa hai?

Jawab:

Haiz wa nifas ki halat mein roza rakhna aur namaz padhna haraam hai.

Un dino mein namazein maaf hai unki qaza bhi nahi.

Magar rozo ki qaza aur dino mein rakhna farj hai aur haiz wa nifas wali aurat ko Quran majeed padhna haraam hai.

Kha’waah dekh kar padhein, ya zubaani aur uska chhoonaa agarache uski jild ya haashiyaa ko Hath, ya ungli ki nok ya badan ka koi hissa lage sab haraam hai.

Haan juzadaan mein quran majeed ho to us juzadaan ke chhoone mein harj nahi!

Anwaare Shriat Hindi Page 40

Share your love