Qurbani Ye Lafz Qurb (???) Se Bana Hai Aur Arbi Me Qurb Ka Maana Hai Qareeb Hona, Nazdeek Hona Aur Qurbani Ke Zarya Chu’nke ALLAH? Ka Qurb Aur Uski Nazdiki Talab Ki Jati Hai-nnIs Liye Ise Qurbani Kahte HainnnUrdu Zuban Me Qurbani Ka Maana Hai Halal Zabiha. Jisko Khas Eid-Ul-Adha Ke Mouqa Par ALLAH? Ka Naam Lekar Zibah Kiya Gaya Ho.nnJabke Arbi Zuban Me Isi Mafhoom Ki Adayegi Ya Kisi Dusri Shakal Me Nazr-E-Khuda Wandi Ke Liye Qurban Begair Ya (??) Ke Mustamil Hai.nnQuran Shareef Me Hazrat Aadam ???? ?????? Ke Dono Farjand Haabil Aur Qaabil Ke Qisse Me Qurban Ka Lafz Aya hai.nnAyat-E-Kareema:- nn?? ????? ?????????? ?????? ??????? ?????? ?????????? ? ???? ???????? ?????????? ??????????? ???? ??????????? ?? ???? ??????????? ???? ?????????nnTarjuma:-nAur Aap Padh Kar Sunaye Unhe Adam Ke 2 Beto Ki Khabar Theek Theek, Jab Dono Ne Qurbani Di To Ek Se Qurbani Qabool Ki Gayi Or Dusre Se Nahi.nn(5 : ???? ??????? 27)nnQurbani Se Murad Koi Janwar Nahi Jo Zibah Kiya Gaya Ho. Balke Mahaz Nazr-E-Khuda Wandi-Khawah Jins Ki Shakal Me Ho Ya Kisi Janwar Ki Surat Mein.n(????? ??????????? ???:-?? ?:-???)nnQurbani Har Is Kaam Ko Kahte Hain Jisse ALLAH? Ka Taqarrub Hasil Kiya Ja Sake Khawah Wo Zabiha Ki Shakal Me Ho Ya Iske Alawa Koi Aur Shakal Mein.n{?????? ?????? ?:-???}nnIsse Malum Huwa Ke Qurbani Sirf Janwar Zibah Karne Ka Naam Hi Nahi.nnBalke Taqarrub Ilahi Ke Pesh Nazar Jo Bhi Nek Kaam Kiya Jaye Wo Qurbani Me Shumar Hoga Aur Istalahi Shariat Me Qurbani Ek Maali Ibadat Ko Kahte Hain.nnnKhas Janwar Ko Khas Dino Me ALLAH? Ke Liye Sawab Aur Taqarrub Ki Niyat Se Zibah Karna Ye Qurbani Ka Istalahi Maana Hai.nnPost By: Razaakaar