Jawab:
Kalimaat E Kufr Ki 2 Qisme Hain.
1) Luzoom E Kufr: Jisme Kisi Sahi Mana Ka Bhi Ehtemaal (Pehlu) Ho.
2) Iltezam E Kufr: Jisme Koi Aise Mana Nahi Bante Jo Qaayel Ko Kufr Se Bachaaye.
Luzoom E Kufr Ki Surat Mein Bhi Fuqaha E Kiram Ne Hukm E Kufr Diya.
Lehaza Ise Kufr E Fiqhi Kaha Jata Hai.
Lekin Mutakallimeen Isse Sukoot (Khamoshi Ikhtiyar) Karte Hain Aur Farmate Hai.
Jab Tak Iltezam E Kufr Ki Surat Naho Kehne Wale Ko Kafir Kehne Se Sukoot Kiya Jayega Aur Ise Kufr E Kalami Bhi Kaha Jata Hai.
Wa-Allahu Taala Alam
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi