Attahiyat ke baad Ye shak huwa ki 3 Hui ya 4 Aur Rukn ki qadar khamosh Raha Aur Sochta Raha

Phir Yakin huwa ki 4 Hogayi. To Ab kya hukm Aayega?

Mas’Ala: Attahiyat ke baad Yah shak huwa ki 3 hui ya 4 Aur Rukn ki Qadr khamosh Raha Aur sochta Raha.

Phir yakin huka ki 4 hogayi to Sajda-E-Sahw wajib hai. Aur Agar Ek Taraf Salam pherene ke baad Aisa huwa to kuch nahi. Aur Agar use hadas huwa Aur wazu karne gaya tha ki Yah shak waka’e huwa Aur Sochne mein wazu se kuch der tak Ruka Raha.

To Sajda-E-Sahw wajib hai.

(Aalamgeeri)

Mas’Ala: Yah Shak wakaqai huwa ki is waqt ki Namaz Padhi, Ya Nahi.

Agar waqt baaki hai lautaye, warna nahi.

Mas’Ala: Shak ki sab surato me Sajda-E-Sahw Wajib hai. Aur Agar Galba-E-Jan (Gaalib guman) mein nahi.

Magar jabki sochne mein Ek Rukn ka waqfa ho gaya ho to wajib ho gaya.

(Durre Mukhtaar)
Bahar E Shari’At 4tha Hissa Safa No 49

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love