Iqamat Ke waqt Koi Shakhs Aaya To Use Khade Ho kar Intezar Karna kaisa Hai?

Mas’Ala: Iqamat ke waqt Koi Shakhs Aay To Use Khade Ho Kar Intezar Karna Makrooh Hai.

Balki Baith Jaayein Jab “HayyaAlalfalaah” Par Pahunche us Waqt Khada Ho. Yoon hi Jo Log Masjid mein Maujood Hai Wah Bhi Baithe Rahein.

Us Waqt Uthe Jab Mukabbir (Takbir Ya Iqaamat Kahne waala) “HayyaAlalfalaah” par Pahunche.

Yahi Hukm Imam ke Liye Hai.

Aalamgeeri jild 1 safa 53

Aajkal Aksar Jagah Riwaaj Pad Gaya Hai ki Iqamat ke waqt Sab Log Khade Rahte Hai.

Balki Aksar Jagah to Yahaan Tak Hai ki Jab Tak Imam Musalle par Khada Na Ho us waqt tak Takbeer Nahi kahi Jaati Yah Khilaaf e Sunnat Hai.

Bahar-E-Shariat Hissa Teesra Safa 31

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love