Ek paanv par khada hona Yaani Dusre Paanv ko Zameen se Utha Lena Namaz Ki Halat mein Kaisa Hai?

Mas’Ala: Ek Paanv pe khada hona yaani dusre paanv ko zamin se utha Lena Makrooh E Tahrimi Hai. Aur Agar Ujrr ki wajah se Aisa kiya To Harz Nahi.

Aalamgeeri 1-65

Mas’Ala: Agar Kiyaam par Qaadir hai Magar sajda nahi kar sakta to use behtar yah hai ki baith kar ishare se padhein khade ho kar bhi padh sakta hai.

Durre Mukhtar

Mas’Ala: Jis Shakhs ko khade hone se katra aata hai ya zakham bahta hai Aur Baithane se nahi to use farz hai ki baith kar padhein.

Agar Aur Taur par uski Rook na kar sake yoonhi khada hone se Chauthayi Satar khul jaayega ya Kiraat Bilkul na kar sakega to Baith kar padhein Aur Agar khade ho kar kuch bhi padh sakta hai to farz hai ki Jitni par qaadir ho khade ho kar padhe baaki baithkar.

Durre Mukhtar, Raddul Muhtaar 1-299

Bahar-E-ShariAt Teesra Hissa Safa 60

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love