Qasar Namaz Ki Niyat Aur Qasar Namaz Kaise Ada Karein?

Kya Rukh Ki Koi Pabandi Rahegi? Kya Namaz Waqt Ke Pehle Ada Kar Sakte Hai?

Aur Agar Namaz Choot Jaye Safar Ke Dauran To Qasar Namaz Mein Qaza Kaise Karein?

Rahnumai farmaye.

Jawab:

Safar Ke Dauran Bhi Namazein Usi Tarah Ada Ki Jaayein Jis Tarah Ada ki Jaati Hain.

Agar 92 Kilometer Ya Us Se Zyada Ke Safar Ke Irade Se Shaher se Nikle to Shar’an Musafir Hai.

Is Waqt Shaher Se Nikalte Hi 4 Rakat Wali Farz Namaz 2 Rakat Parhna Wajib Hai.

Jise Qasar Kehte Hain.

Safar Ke Dauraan Bhi Qibla Ki Janib Rukh Karna Shart Hai.

Agar Waaqai Aisi Jagah Hai Ke Jahan Koi Bataane Wala Nahi Aur Na kisi Tarah Pata Lagana Mumkin Hai Ke Kis Janib Qibla Hai to Taharri Karein.

Yaani Dil Ko Ek Janib Jamaaye Jis Janib Dil Jam Jaayein Ke is Taraf hi Qibla Hai us Taraf Rukh Karke Namaz Parhe.

Magar Yaad Rahein ke Wahan Koi Bataane Wala Maujood Tha Aur Usse Na Poocha to Namaz Na Hogi.

Qasar Namaz Ki Niyat Usi Tarah Ki Jaayein Jis Tarah Ki Jati Hai.

Namaz Ka Uske Waqt Mein ada Karna Zaruri Hai.

Agar Waqt se Pehle Namaz Parh Li To farz Ada Na Hoga.

Waqt Aane Par us Namaz ko Parhna farz Hoga.

Agar Namaz Qaza Ho Jaayein to Jis Waqt ki Qaza Hui Hai Utni Rakat Hi Parhna Wajib Hai.

Jaise Zohar ki Namaz Chhut Gayi to Baad Mein 2 Rakat Farz Ki Qaza Karein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love