Isha ki namaz agar jamat se na padhe aur witr ki namaz ko jamat ke sath padhe

To kya hukm hai is namaz ka? Witr ki namaz ko ramzan mein hi jamat ke sath kyu padha jaata hai?

Jawab:

Witr Ki Namaz Isha ke farz ke taabe hai.

Lehaza Farz jamaat se na parha to witr bhi tanha parhein.

Agar jamaat se parh liya to Namaz ho gayi magar tanha parhi jaayein.

Ramzan mein witr ki jamaat Saabit hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love