Namaz ki makroohat
1) Kapde, badan ya daadhi ke saat khelna.
2) Kapda sametna (jaise sajde mein jaate waqt aage ya peeche se uthana)
3) Kapda latkaana (yani sar, ya mundhe par iss tarah daalna ki doono kanare latakte ho)
4) Aasteen ka aadhi kalaayi se ziyaada chadhaan.
5) Daaman samet kar namaz padhna.
6) shiddat (zordaar) ka paakhana.
7) Peshab maloom hote waqt, ya galbaye riyaah ke waqt namaz padhna.
8) Mard ka judha baandhe huwe namaz padhna.
9) Ungliyaan chatkaana.
10) Ungliyo ki kainchi bandhna.
11) Kamar par haath rakhna,
12) Idhar udhar muh pheir kar dekhna.
13) Aasman ki taraf nigah uthaana.
14) Tashahud ya sajdon ke darmiyan kutte ki tarah baithna.
15) Mard ka sajde mein kalaayio ka bichaana,
16) Kisi shakhs ke muh ke samne namaz padhna,
17) Kapde mein iss tarah lipat jaana ki haat bhi baahar na ho.
18) Pagdi iss tarah baandhna ki beech sar par na ho.
19) Naak aur muh ko chipaana,
20) Bezarurat khankaar nikalna,
21) Bilkasd jamaahi lena aur khud aayein toh harz nahi,
22) Jis kapde par jaandaar ki tasweer (photo) ho usko pehen kar namaz padhna,
23) Tasweer ka namazi ke sar par (yaani chath mein hona, ya latka hona, ya sajda karne ki jagah mein hona ki uss par sajde waaki ho.)
24) Namazi ke aage, ya dahine, ya baaye, ya peeche tasweer ka hona.
Jabki latki ho, ya nasab ho, ya diwaar wagairah mankoosh ho (dewaar par khood kar, ya waise hi kisi jaandaar ki tasweer bani hona)
25) Ulta Quran Shareef majeed padhna,
26) Kisi wajib ko tark karna (choodhna)
27) Qiyam ke alaawa kisi aur mauqe par Quran Shareef padhna.
28) Ruku mein Qirat ko khatm karna,
29) Imam se pehle muqtadi ka ruku wa sujood wagairah mein jaana, ya usse pehle sar uthana.
Yeh tamaam baatein Makrooh e tahrimi hai.