Kya Fajr ki 2 rakat farz aur Asr ki 4 rakat farz

Ke baad qaza namaz, ya nafil namaz, ya Quran Shareef ki tilawat kar sakte hain?

Jawab:

Mazkoora dono waqto mein Qaza Namazein ada ki ja sakti hain Aur Quraan Paak Tilawat kar sakte hain.

Haan Asr ke baad Suraj Doobne se pehle jab makrooh waqt shuru hota hai us waqt koi Namaz nahi parhi jaayein siwa e usdin ki asr ki namaz ke.

Waazeh rahe ke masjid mein logon ke samne na padhein in waqton mein tanhai mein padhein.

Warna is waqt mein log dekhenge namaz padhte hue to puchenge.

Phir banda jawab dega ki mai qaza padh raha ho aur ye apni taqseer par logon ko gawah bana lega.

Lehaza tanhaai mein padhein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love