Jo Shakhs Masjid Mein Aayein Use 2 Rakat Tahiyatul Masjid Namaz Padhna Kaisa Hai

Tahiyatul Masjid: Jo Shakhs Masjid mein Aayein Use 2 Rakat Tahiyatul Masjid Namaz Padhna Sunnat Hai. Balki Behtar Yah hai ki 4 padhe. Bukhari wa Muslim.

Sarwar E Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Farmate Hai.

Jo Shakhs masjid mein daakhil ho Baithane se pahle 2 Rakat padhle.

Mas’Ala: Aise waqt mein Aaya jisme nafl Namaz makrooh hai. Maslan Baad TuLu E Fajr, Ya baad Namaz E Asr.

Wah Tahiyatul Masjid Na padhe Balki Tasbih wa Darood Sharif mein Mashgul ho masjid ka hak Adad ho jayega.

Mas’Ala: Farz Ya Sunnat Ya koyi Namaz Masjid mein padh li Tahiyatul Masjid Ada ho gayi.

Agarche Tahiyatul Masjid ki Niyat na ki ho, is namaz ka hukm uske liye hai.

Jo namaz ki niyat se na gaya ho balki Dars wa zikr Wagairah ke liye gaya ho, agar Farz ya iqtida ki niyat se masjid mein gaya to Tahiyyatul Masjid ke kayim makam hai.

Basharte ki daakhil hone ke baad hi padhe Aur Agar Arse ke baad padega to Tahiyatul masjid padhein.

Durre Mukhtaar
Bahar-e-sahariAt Hissa 4 safa 19,20

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love