Qada-E-Ula Mein Attahiyat ke Baad Itna Padah Allah Humma Salli Ala Muhammed.

To Kya hukm hoga Namaz ka?

Mas’Ala: Qada-E-Ula Mein Attahiyat ke baad itna padha Allah humma Salli Ala Muhammed, Sajda E Sahw Wajib Hai.

Is wajah se Nahi ki Darood Sharif Padha.

Balki Is wajah se ki teesri ke Kiyaam mein takhir huyi.

To Agar Itni der tak Sukut kiya jab bhi Sajda E Sahw wajib hai.

Jaise Qada’a, wa Ruku, wa Sujud mein Quran padhne se Sajda E Sahw wajib hai, halanki wah kalame ilahi hai.

Imam e Azam Radiallau Ta’Ala Anhu Ne Nabi Sallallahu Alahi Wassallam ko Khwaab mein dekha.

Huzoor Sallallahu Alahi Wassallam Ne Irshad Farmaya: Darood Padh ne waale par Tumne kyun Sajda E Sahw wajib Bataya

Arz ki Isliye ki Usne Bhool kar padha Huzoor Sallallahu Alahi Wassallam Ne Tahseen Farmayi.

(Durre Mukhtaar, Raddul Muhtaar)

Bahar E Shari’At 4tha Hissa Safa No 45

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love