Zaid Ne Dusri Shadi Ki Aur Uska Beta Hai Kareeb 5 Saal ka

To Kya Wo Beta Apni Sauteli Maa Ke Meharam Mein Shamil Hoga Ya Nahi

Aur Kya Sautele Bachcho ka Apas Mein Nikah Karaya Ja Sakta Hai.

Maslan Beta Biwi Se Ho Aur Beti Shauhar Se

Jawab:

Sauteli maa chunke Baap ki Mautua (Biwi hai jisse baap ne humbistri ki hai) lehaza usse Nikah haraam.

Aur Agar maslan Mard ki beti jo ke dosri biwi se ho aur Aurat ka beta jo kisi dosre shauhar se ho.

Yaani dono ke walidain alag alag hain to unka apas mein nikah ho sakta hai.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Shehzada E Mufti Mehmood Akhtar Qadri Razavi Amjadi
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi

Share your love