School ya madrasa mein sab sath mein paise jod kar kisi mauke par jaise 10 Muharram, 12 rabi ul awal etc mein fateha ka ehtemam karte hai

Tarkib kuch is tarah ki jati hai ki ailan kar diya jata hai ki jise fatiha mein shirqat karni ho wo is jagah par raqam rakh de.

Usme ye hota hai ki senior junior ke bachche choote Bachche aur gair muslim bachche bhi paise Rakh dete hai.

To kya ye tarika durust hai?

Jawab:

Na balig Bachcha jin paiso ka malik hai un paiso ko Fatiha ke liye Nahi liya ja sakta.

Haan agar Unke walidain se liya jata hai, ya mangwaya jata hai to harj nahi.

Gair Muslimo se imdad na li jaaye.

Agar usne de diya to bhi fatiha durust hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love