Kin cheezo se roza toot jata hai?

Masla:

Jaan-bujhkar Khaane-Peene, HumBistari karne se Roza Toot jaata hai.

Masla:

Huqqa, Sigaar, Cigerate, Charat (Charas) wagairah Peene se Roza toot jaata hai.

Masla: Paan, ya Tumbaku khaane se Roza toot jaata hai.

Masla: Shakar (Sugar) wagairah aisi Cheezein jo munh Mein rakhne se ghul jaati hai. Munh Mein rakhi aur Thook nigal gaya, Roza toot gaya.

Masla: Daanton ke darmiyaan koi Cheez Chane ke barabar, ya zyaada thi use kha gaya, ya kam hi thi magar Munh se nikaal kar phir khali to dono Surton Mein Roza toot gaya.

Masla: Daanton se khoon nikalkar halaq se neeche utra aur uska mazah halaq Mein Meinhsoos hua. Roza toot gaya.

Masla: Roze Mein Daant Ukharwaya aur khoon nikalkar Halaq se neeche utra Roza toot gaya.

Masla: Naak Se Dawa Chadhayi Ya Kaan Mein Tel Dala Ya Chala Gaya Roza Toot Gaya.

Masla: Kaan Mein Jaanbujh kar paani daalne se Roza toot jaata hai. (Fatawa e Razwiya).

Masla: Kulli kar raha tha Be-ikhtiyaar paani Halaq se Utar gaya. Roza toot gaya.

Masla: Naak Mein Paani Chadhaya aur Dimaag ko chadh gaya Roza toot gaya.

Masla: Aansu ya Paseena Munh Mein chala gaya aur nigal gaya to agar do Qatre se zyaada hai aur uski Namkeeni poore Munh Mein Meinhoos huyi, Roza toot gaya.

Masla: Jaanbujh kar Munh bhar Qai (Ulti) ki to Roza toot gaya.

Masla: Be-Ikhtiyaar Bhar Munh Qai (Ulti) ho gayi phir use Nigal gaya Roza Toot Gaya.

Masla: Ye Gumaan tha ke Subah Nahin hui aur khaya ya piya baad ko Maloom hua ke Subah ho chuki thi Roza na hua.

Masla: Ye Gumaan tha ke Aaftaab Doob gaya Aur Iftaar kar liya Baad ko Maloom hua ke na Dooba tha Roza na hua.

Masla: Jiska Roza toot gaya. Maslan Galti se Paani Wagairah koi Cheez Halaq Mein ja rahi to jo kuch Din Baaki re gaya use Roze ki tarah Guzaarna Wajib hai.

Masla: Naswaar Naak Mein lagaakar Upar Kheechne se Roza toot jaata hai.

Masla: Lobaan, Agarbatti wagairah ke Dhue ko Jaanbujhkar Naak Ya Munh se Kheecha, Roza toot gaya.

Masla: Manjan, Ya Toothpaste wagairah kar raha tha aur uske kuch Ajza Halaq se neeche utar gaye Roza toot gaya.

Masla: Inhaler (jo ke Dama ke Mariz Aksar Istamal karte hain) Roze ki haalat Mein Istamaal kiya Roza toot gaya.

Isi Tarah Sardi Ke Inhaler Se Bhi Roza toot Jayega.

Masla: Cheenk Aane ke liye Naak Mein Sufoof (Powder) Rakhkar upar ko Saans Kheechne se Roza toot Jayega.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love