Masla: Har Roze Ka Fidya Baqadre Sadqa-e-Fitr Hai. (Yaani 2 Kilo 50 gm Gehu, Ya Uski Qeemat)
Masla: Shaikh-e-Faani. (Yaani Budha jiski Umr Aisi Ho Gayi Ke Ab Roz Baroz Kamzor Hi Hota Jayega).
Jab Wo Roza Rakhne Se Aajiz Ho. (Yaani Na Ab Rakh Sakta Hai, Na Aainda Usme Itni Taaqat Aane Ki Koi Ummeed Hai Ke Roza Rakh Sakega Use Roza Na Rakhne ki Ijaazat Hai).
Aur Har Roze Ke Badle Mein Fidya. (Yaani Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Pait Khana Khilana Uss Par Wajib Hai).
Ya Har Roze Ke Badle Mein Sadqa-e-Fitr Ki Miqdar Miskeen Ko De De.
Masla: Agar Aisa Budha Garmiyon Mein Ba Wajah e Garmi (Garmi Ki Wajah Se) Ke Roza Nahin Rakh Sakta.
Magar Jaadho (Sardi) Main Rakh Sakega, To Ab Na Rakhein Aur Inke Badle Ke Jaadho Mein Rakhna Farz Hai.
Masla: Agar Fidya Dene Ke Baad Itni Taaqat Aa Gayi Ke Roza Rakh Sakega, To Fidya Sadqa-e-Nafl Hokar Reh Gaya.
Unn Rozo Ki Qaza Rakhein.
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi