Ek Ghar Mein Sab Member Kisi Ek Member Ko Apni Sadqa E Nafila Ki Raqam Jama Karwate Hai

Aur Wo Shakhs Munasib Jagah Kharch Karta Hai.

Ab Sawal Ye Hai Ki Jama Ki Hua Raqam Mein Se Koi Bhi Shakhs, Ya Wo Shakhs Note Change Kar Sakta Hai.

Jaise 500 Rs Ki Note Rakh Di Aur 5 Note 100 Ki Nikal Li.

Is Tarah Kar Sakte Hai Aur Yahi Chiz Chande Ki Raqam Mein Bhi Kar Sakte Hai (Note Exchange Kar Sakte Hai).

Jawab:

Zakat, Ya Sadqa Wagaira Ki Raqam, Jo Jama Ki Gayi. Us Note Ko Badla Ja Sakta Hai.

Yaani 500 Ki Note Ki Jagah 100 Ki 5 Notes Rakh Di Jayein, Isme Harj Nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love