Zakat ke Masarif kitni hai

Zakat ke Masarif 7 hain. 1) Faqeer. 2) Miskeen. 3) Aamil. 4) Riqaab. 5) Gaarim. 6) Fee Sabeelillah. 7) Ibnus Sabeel.

1) Faqeer: Wo shaks hai jiske paas kuch ho magar itna na ho ke Nisab ko pahoch jaaye, ya Nisab ki Miqdar ho to Uski Hajat e Asaliya bhi Usme Shamil ho.

Jaise rehne ka Makan, Pahenne ke kapre, isi tarah Maqrooz ke agar qarz nikaalne ke baad Nisab baaqi na rahein to Faqeer hai.

2) Miskeen: Wo hai jiske paas kuch na ho, Yahan tak ke khane aur badan chupaane ke liye iska Mohtaaj hai ke logo se sawal karein.

Aur jiske paas Khaane aur badan chupaane ko Hai to Use Begair Zarurat o Majburi Sawal Haraam hai.

3) Aamil: Wo hai jise Badshah e Islam ne zakat aur Ushr Wasool karne ke liye Muqarrar kiya.

Aamil Agarche Maal daar ho apne kaam ki ujrat le sakta hai.

4) Riqaab: Isse muraad Mukaatab Gulaam ko dena ke us maal e zakat se Badal e kitabat adaa kare aur gulaami se khud ko azaad karein.

5) Gaarim: Isse Muraad Mad’yoon hai. Yaani us par itna Dein Mas’lan qarz wagaira ho ke use nikalne ke baad nisab baaqi na rahein.

6) Fee Sabeelillah: Yaani Raah e Khuda mein kharch karna.

Iski chand suratein hain.

Mas’lan koi Hajj ko jana chahta hai aur uske paas Maal nahi usko zakat de sakte hai.

Magar usko Hajj ke liye sawaal karna jaayez nahi.

Ya Talib e Ilm ke Ilm e Deen padhta, ya padhna chahta hai.

Use de sakte hain ke ye bhi Raah e Khuda mein dena hai.

7) Ibnus Sabeel: Yaani Musafir jiske paas Maal na raha, wo zakat le sakta hai.

Agarche uske ghar mein Maal maujood ho, magar utna hi le jisse Hajat puri ho jaayein.

Note: Zakat ada karne mein ye zaruri hai ke jise de Maalik bana de, Ibahat kaafi nahi.

Lehaza Maal e Zakat Masjid mein Sarf karna, ya usse Mayyat ko kafan dena, ya Mayyat ka qarz wagaira ada karna, Pul, Sadak wagaira banwa dena, Naher, ya Kunwa khudwana wagaira in Kaamo mein kharch karna, Ya kitab wagaira koi cheez khareed kar waqf kar dena zakat ke liye kaafi na hoga.

Lehaza jo shaks malik e nisab ho usko zakat dena jayez nahi.

Yaani jiske paas 612 gram Chaandi Ya Uski Qeemat Ya Hajat e Asliya ke ilawa Itni qeemat ka samaan bhi ho use Zakat nahi di jaa sakti hai.

Agar sadqa e nafila hai to wo kisi zarurat mand ko diya ja sakta hai uske liye ye shartein Jo zikr hui wo zaruri nahi.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love