Zaid Ko Bakr ne Apni Zakat Ka Wakil Banaya

Ab Zaid Ki Niyat Bigdi Aur Usne Wo Zakat Mustahiq Tak na Pohchai aur Khud Rakhli.

1) To Bakr ki Zakat Ada Hui?

2) Agar Nahi To Ye Rakam Kaun Ada Karega?

3) Bakr ko Ye Pata Nahi ki Zaid ne Zakat Ada Nahi Ki. To Kya Hukm Hoga? Yaha zaid Khud Sahib e Maal Hai.

Jawab:

Is Surat mein Bakr Gunahgar Hua.

Bakr Par Laazim Hai ke wo Iska Tawaan de.

Yaani zaid Ko Utni Raqam Wapis Karein, Yaa Zaid Se Ijazat Lekar Apni Janib se Kisi Faqeer ko De.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love