Zakat Farz Hai Ya Wajib?

Jawab:

Zakat Farz Hai. Uski Farziyat Ka Inkar Karne Wala Kafir Aur Na Ada Karne Wala Fasiq Aur Adayegi Mein Dair Karne Wala Gunahgar Mardudush’Shahadat Hai. (Gawahi Na Dene Ke Layak).

Bahar e Shariat

Zakat Farz Hone Ki Sharth Kya Hai?

Jawab:

Chand Shartein Hai.

Musalman Aaqil Baligh Hona.

Maal Baqadre Nisab Ka Pure Taur Par Milkiyat Mein Hona,

Nisab Ka Hajat-E-Asliya Aur Kisi Ke Baqaya Se Farigh Hona,

Maal e Tijarat, Ya Sona Chandi Aur Maal Par Pura Saal Guzar Jaana.

Sone Chandi Ka Nisab Kya Hai Aur Unmein Kitni Zakat Farz Hai?

Jawab:

Sone Ka Nisab Saadhe Saat (7 1/2) Tola Hai.

Jismein Chaliswa Hissa.nnYaani Sawa Do Masha Zakat Farz Hai Aur Chandi Ka Nisab Saadhe Bawan (52 1/2) Tola Hai.

Jismein Ek Tola Teen Masha Che Ratti Zakat Farz Hai.

Sona Chandi Ke Bajaye Bazaar Bhav Se Unki Qeemat Laga Kar Rupaya Wagairah Dena Bhi Jaayez Hai.

Share your love