EXPORT KE GOSHT KA HUKM?nnMauqa ki munasabat se zaroori hai ke ham qadr e ijmaal ke saath bayan karde ke maujoodah zamane me EXPORT, IMPORT ke gosht me kya kya asbaab e hurmat maujood hain taake kam az kam woh log is se parhez kar sakein jinhein sirf rizq e halal hi ki justuju rahti hai aur ijtenaab e haram ke silsila me woh log masa’ib ka muqabla karne me kotahi nahi karte.nnEXPORT KIYE GAYE GOSHT ME ASBAAB E HURMAT KI IJMAALI FAHRIST MULAHAZA HO?nnExport kiye gaye gosht me machini zabeeha sar e fahrist hai aur ham pahle bayan kar chuke hain ke machini zabeeha gair e shar’ee hone ki baais haraam hai.nnGosht ki beshtar miqdaar Europe, America, Australia ke mamalik se export hoti hai aur wahan ziyadah tar slaughter house wale aur exporter nasaara hain aur is zamane ke nasaara ka zabeeha haraam hai.nnExport kiya hua gosht custom me pahunchte hi bhejne wale ke qabza o nazar se gaaib ho jaata hai phir kaargo (maal bardaar jahaz) me bhi gaaib rahta hai custom o kargo ke mulazimeen mazkoorah mamalik me mushrikeen o mulhideen o nasaar e zamana hote hain. Jab ke hukm e shara ye hai ke gosht jab qabza e kafir me pahunch kar nazar e muslim se ek lamha ke liye gaib ho jaaye to haraam hai. Lihaza agar export kiya hua gosht agarche zabeeha e muslim hi ho aur agarche musalman hi ne bheja ho jab bhi woh haraam ho jaata hai.nnMashini zabeeha ke slaughter houses un Jaanwaro ka gosht bhi ?lahme halal? ka lebal laga kar parsal kar dete hain. Jinke beech sar par ya seena par chhuri chali aur woh mar gaye aise Jaanwar ki hurmat ijma se saabit hai.nnMain ne haramain shareefain me zabeeha ke gosht aur imported gosht ki qeemato ka farq bhi maloom kiya to pata chala ke imported gosht ki qeemat 6/7 riyaal fee kilo gram hai. Jabke maqaami zabeeha 25 se 30 riyaal mein 1 kilo gram dasteyaab hota hai.nnIsi liye umooman hotalo aur tour ke matbakhon mein import kiya hua gosht istemal hota hai. Harmain tayyibain ke muhtaat awam is gosht se ijtenaab rakhte hain.nnBalkeh bahut saare hujjaj e kiram aur zaireen ko bhi hamne un muqaddas ilaaqo me isi sabab se imported gosht se parhez karte huye paaya.nnZihan nasheen kar lijiye ke haraam giza insaan me khubs paida karti hai aur haraam giza ki wajah se duaayein maqbool nahin hoti.nnIbadaat o ziyaaraat kiya maqbool hongi.nnIsliye hujjaj e kiram o zaaireen par laazim hai ke Allah o Rasool ??? ???? ????? ???? ???? ke darbaar me pahunch kar gizaai ihteyaat bartein agar chand roz gosht nahin khaayenge to sihhat par koi bura asar murattab nahin ho jaayega.nn(Masheeni zabeeha ka hukm safah 13/14/15)nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????