EID ul fitr Ke din ye umoor mustahab hain.
1) Hajamat Banwana
2) Naakhun Tarashwana
3) Ghusl Karna
4) Miswak Karna
5) Achche kapde pahanna, naya ho to naya warna dhula hua.
6) Angoothi Pahanna
7) Khushboo Lagana
8) Subah ki namaz muhallah ki masjid mein padhna.
9) Eid gaah jald jaana
10) Namaz se pahle sadqa e fitr ada karna
11) Eid gaah ko paidal jaana
12) Dusre raaste se wapas aana
13) Eid ul fitr ki namaz ko jaane se peshtar (pahle) chand khujoorein kha lena 3, 5, 7, ya kam o besh magar taaq ho, khujoorein na ho to koi mithi chiz khaayein, namaz se pahle kuchh na khaya to gunahgaar na hua magar isha tak na khaya to itaab kiya jaayega.
14) Khushi Zaahir karna
15) Kasrat se sadqa dena
16) Eidgaah ko itminaan o waqaar aur neechi nigaah kiye jaana
17) Aapas mein mubarak baad dena mustahab hai Aur raaste mein buland awaaz se takbeer na kahein.
Bahar e shariyat
BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBANI
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi