Soodkhor Ka Azab Ke Baare Me Shariyat Me Aur Hadeese Mubaraka Me Jo Sakhti Aur Azab Bataye Gaye Hai.

Use Baraye Meharbani Tafseer Me Inayat Farmaye

Jawab:nnSood Ki Hurmat Qur?an O Hadees Se Waazeh Taur Par Saabit Hai.

Allah Tabarak Wa Taala Ne Irshad Farmaya

Aur Allah Ne Halal Kiya Baie Ko Aur Haraam Kiya Sood.

(Surah Al Baqarah)

Jab Sood Ki Hurmat Ka Hukm Naazil Hua To Logo Ka Dosro Par Jo Kuch Bhi Sood Ka Baqaaya Tha Us Ko Bhi Lene Se Mana Farma Diya Gaya.

Aye Iman Waalo Allah Se Daro Aur Chhor Do Jo Baaqi Reh Gaya Hai Sood Agar Musalman Ho.

(Surah Al Baqarah)

Sood Ko Quran E Kareem Mein Itna Bada Gunaah Qarar Diya Gaya Hai Ke Sharab Noshi, Khinzeer Khane Aur Zina Kaari Ke Liye Quran E Kareem Mein Wo Lafz Istemal Nahi Kiye Gaye Jo Sood Ke Liye Iste?mal Kiya Gaya.

Allah Taala Ka Irshad Hai.

Phir Agar Aisa Na Karo (Sood Se Na Baaz Aao) To Yaqeen Kar Lo Allah Aur Allah Ke Rasool Se Ladaai Ka.

(Surah Al Baqarah)

Sood Khane Waalo Ke Liye Allah Aur Us Ke Rasool Sallallahu alaihi wasallam Ki Taraf Se Elaan E Jung Hai, Aur Ye Aisi Sakht Waeed Hai Jo Kisi Aur Bade Gunaah Par Nahi Di Gayi.

Mashhoor Sahabi E Rasool Hazrat Abdullah Ibn E Abbas RaziAllahu Taala Anhu Ne Farmaya Ke Jo Shakhs Sood Chhorne Par Tayyar Na Ho.

To Khaleefa E Waqt Ki Zimme Daari Hai Ke Wo Us Se Tauba Karaye Aur Baaz Na Aane Ki Surat Mein Us Ki Gardan Uda De.

Allah Tabarak Wa Taala Ne Sood Khane Waalo Ke Liye Qiyamat Ke Din Jo Ruswaai Aur Zillat Rakhi Hai Us Ko Allah Taala Ne Apne Kalam E Majeed Mein Irshad Farmaya.

Wo Jo Sood Khate Hain Qiyamat Ke Din Na Khade Honge. Magar Jaise Khada Hota Hai Wo Jise Aaseb Ne Chhu Kar Makhboot Bana Diya Ho.

(Surah Al Baqarah)

Sood Ko Jaayez Qarar Dene Waalo Ke Liye Irshad Hua.

(Ye Zillat Amez Azab) Is Liye Ke Unho Ne Kaha Baie Bhi To Sood Hi Ki Maanind Hai.

(Surah Al Baqarah)

In Ayaat E Kareema Mein Allah Tabarak Wa Taala Ne Insano Ko Halak Karne Waale Gunah Se Sakht Alfaz Ke Sath Bachne Ki Taleem Di Hai Aur Tauba Na Karne Waalo Ke Liye Jung Ka Elaan Farma Diya,

Neez Farmaya Ke Kal Qiyamat Ke Din Sood Lene Dene Waale Zaleel O Ruswa Honge Aur Jahannam Mein Daale Jayenge.

Nabi E Akram Sallallahu alaihi wasallam Ne Bhi Sood Se Bachne Ki Bahot Takeed Farmayi Hai Aur Sood Lene Aur Dene Waalo Ke Liye Sakht Waeeden Sunaai Hain.

Jin Mein Se Kuch Ahadees Zikr Ki Jaati Hain.

Huzoor E Akram sallallahu alaihi wasallam Ne Hajjatul Wida Ke Mauqe Par Sood Ki Hurmat Ka Elaan Farmaate Hue Irshad Farmaya.

(Aaj Ke Din) Jahiliyat Ka Sood Chhor Diya Gaya, Aur Sab Se Pehla Sood Jo Mai Chhorta Hu Wo Hamare Chacha Abbas (RaziAllahu Taala Anhu) Ka Sood Hai.

Wo Sab Ka Sab Khatam Kar Diya Gaya Hai.

Asl Mein Hazrat Abbas RaziAllahu Taala Anh Sood Ki Hurmat Se Qabl Logo Ko Sood Par Qarz Diya Karte The.

Is Liye Huzoor sallallahu alaihi wasallam Ne Farmaya Ke Aaj Ke Din Mai Unka Sood Jo Dosre Logo Ke Zimme Hai Wo Khatam Karta Hu

(Muslim Shareef)

Huzoor E Akram Sallallahu alaihi wasallam Ne Irshad Farmaya

7 Halaak Karne Waale Gunaah Se Bacho! Sahab E Kiraam Ne Arz Kiya. Ya RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam Wo 7 Bade Gunah Kaun Se Hain (Jo Insano Ko Halak Karne Waale Hain).

Huzoor E Akram sallallahu alaihi wasallam Ne Irshad Farmaya
(1) Shirk Karna,
(2) Jaadu Karna
(3) Kisi Shakhs Ko Naa Haq Qatl Karna
(4) Sood Khana
(5) Yateem Ke Maal Ko Hadapna
(6) (Kuffar Ke Sath Jung Ki Surat Mein) Maidan Se Bhagna,
(7) Paak Daaman Aurato Par Tohmat Lagana.

(Bukhari, Muslim)

Huzoor E Akram sallallahu alaihi wasallam Ne Sood Dene Aur Lene Waale, Soodi Hisab Likhne Waale Aur Soodi Shahadat Dene Waale Sab Par Laanat Farmayi Hai.

Sood Lene Aur Dene Waale Par Huzoor E Akram sallallahu alaihi wasallam Ki Laanat Ke Alfaz Hadees Ki Har Mashhoor O Maroof Kitabo Mein Maujood Hai.

(Muslim, Tirmizi, Abu Dawood, Nisai)

Huzoor E Akram sallallahu alaihi wasallam Ne Irshad Farmaya

4 Shaks Aise Hain Ke Allah Taala Ne Apne Liye Laazim Kar Liya Hai Ke Un Ko Jannat Mein Dakhil Nahi Karega Aur Na UnKo Jannat Ki Nemato Ka Zaayeqa Chakaayega

(1) Sharab Ka Aadi
(2) Sood Khane Waal
(3) Na Haq Yateem Ka Maal Udaane Waala.
(4) Maan Baap Ki Na Farmani Karne Wala.

(Kitaab Al Kabaair Lizzahbi)

Rasoolullah Sallallahu alaihi wasallam Ne Irshad Farmaya

Sood Ke 70 Se Zyada Darje Hain Aur Adna Darja Aisa Hai Jaise Apni Maan Se Zina Karein.

(Haakim Al Baihaqi, Tibraani)

RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam Ne Irshad Farmaya

Ek Dirham Sood Ka Khana 36 Martaba Zina Karne Se Zyada Hai.

(Ahmad, Tibraani)

Allah Tabaarak Wa Taala Hum Tamam Logo Ko Halal Kamaane Halal Khaane Ki Taufeeq Ataa Farmaaye, Haraam Kamaane Aur Khaane Se Bachaye.

Khalifa-E-Huzoor TajushshariahMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love