Nikah Ke Baad Agar Biwi Kisi Gair Mard Se Talluk Qayam Karnein Ki Koshish Karein

Aur Agar Shauhar Ko Is Baat Ka Pakka Suboot Mil Gaya Ho. Toh Shauhar Ke Liye Kya Hukm Hai.

Jawab:

Agar Waqee Biwi Ke Najayez Talluqaat Gair Mard Se Hain To Woh Sakht Gunahgaar Hai.

Us Par Farz Hai Ke Apne Is Bad Kaam Se Taubah Karein Aur Shauhar Biwi Se Iqraar Le Ke Aise Qabeeh O Haraam Harkat Se Baaz Rahe.

Aur Biwi Ko Waqtan Fawaqtan Tambeeh Karta Rahe Aur Uski Sakht Nigraani Karein Ke Ab Aaindah Aisa Qadam Na Uthaayein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love