Zaid ke waha beti nahi Hai

To kya vah apne bhai ki beti Godh le sakte hain agar le sakte hain to kya koi Tarika hota Hai Bachpan hi se le le paper vagaira per signature karva kar le sakte hain kya shariyat Mein iski ijajat hai

Jawab:

Godh lene mein koi harj nahi.

Balke Ye Sunnat se Sabit bhi hai.

Lekin Bachchi ke walidain par pabandi nahi laga sakte ke wo mil na sake ya apni beti wapis na le sake.

Wo jab chahein Use wapis le sakte hain.

Aur jab bhi walidain ka naam zikr kiya jaayein to asl walidain hi ka naam zikr kiya jaayein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love