Alqaab: Peerane Dhar, Qutb-ul-Aqtaab.nnHazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi ki wiladat 637 Hijri (1234 A.D) me Delhi me hui.nnHazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Nizaam-ud-deen bin Sayyed Noor-ud-deen Mubarak Ghaznawi hai.nnAap ne Arab aur Ajam ke kai mulk – Hijaaz, Yemen, Rome, Spain, China wagairah ka safar kiya.nnHazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi Makkah mukarrama me 50 saal tak muqim rahe. Aap Roza rakhkar beri ke patto se iftaar karte. 42 martaba Hajj ada kiye. 40 saal tak Hujjaaj e kiraam ko paani pilaaya.nnHazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi 30 saal tak ek patthar baithkar ibadat karte rahe. Jab Aap zikr-e-qalbi karte, to aap dil me ?Allahu? ka zikr karte to us patthar se bhi yehi aawaaz aati.nnKuchh arse baad Hazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi Hindustan waapas tashreef laaye.nn826 Hijri (1423 A.D) me Aap Mandav gadh aaye aur Nalchha gaanv me Chandola taalaab ke qareeb muqim hue aur ibadat wa riyazat karte rahe aur logo ko faiz wa ta?aleem at farmate rahe.nnKaramat:nn(1) Ek martaba Aap ka khaadim chiraagh ke liye tel lene bazaar jaa raha tha. Aap ne farmaaya ?Isi (Chandola) taalab se tel lekar daal do aur Chiraagh roshan kar lo.? Khaadim ne Aap ke farmaan ki taamil ki aur paani se chiraagh jalne lage.nnLogo ko jab is baat ki khabar hui, to tamaam log us taalab se paani le jaakar chiraagh jalane lage.nnEk roz jab bahot bheed jama ho gayi, to Aap ne farmaya ke ?Taalab me to paani hai, tel kaha se aaya?? Foran taalab me phir se paani ho gaya.nn(2) Ek martaba Hazrat Sayyed Makhdoom Ashraf Jahaangeer Simnani rahmatullahi alaihi ne safar me Aap ko daawat ki. Dusre din Aap ne bhi Hazrat Makhdoom Ashraf ko unke sab saathiyo ke saath daawat par bulaya. Aap ke paas koi saamaan na tha. Aap ne deg chulhe par rakhkar jo kuchh sabzi-patte the wo usme daal diye.nnAur farmaya ke ?Jo shakhs jis qism ka khaana maange use whi khaana deg me se nikaalkar khilaao’. Chunaanche har shakhs ko us ki khwaahish ke mutaabiq khaana usi deg me se khilaaya gaya.nn(3) ALLAH ta?ala ne Aap ko Qalandar ka martaba ata farmaya tha aur ALLAH ta?ala ke fazl se Aap roohani quwwat se ek waqt me ek saath kai jagah par dekhe jaa sakte the.nnHazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi Hazrat Khwaja Khizr Rumi rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.nnHazrat Meer Sayyed Noor-ud-deen Mubarak Ghaznawi rahmatullahi alaihi ne Aap ko ?Qadri? silsila ki khilaafat ata farmayi hai.nnHazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi se ?Chishti Qalandari? silsila jaari hai.nnHazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi ke khalifa:nnHazrat Qutb-ud-deen Bina e dil Qalandar rahmatullahi alaihi.nnHazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi ka wisaal 20 Zil Hijjah 837 Hijri (28 July 1434 A.D) ko hua.nnHazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi ka mazaar Nalcha, Dhar (Madhya Pradesh) me hai.nnALLAH ta?ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Sayyed Najm-ud-deen Shah Qalandar rahmatullahi alaihi aur tamaam Auliya Allah aur Ahle bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke imaan ki hifaazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek jaayez muraado ko puri farmaye.nAameen.