Meri Saas Ke Meri Hamesha Ladai Hoti Rehti Hai Phir Un Ki Galti Hote Huwe Bhi Me Bade Samajh Kar Mafi Mang Leti Hu Mere Aur Sasu Maa Ke Darmiyan Jab Jhagde Huwe Woh Kisi Rishtey, Gharelu, Kaam, Ya Apne Rishtey Dar Se Baat Karna Ki Bunyad Pe Nahi Huwee?Sirf Aur Sirf Khana Peene Pe Jhagde Hote Hain.nnKiya Mera Itna Bhi Haq Nahi Hai Ke Me Din Bhar Kaam Karke Sakoon Se Pet Bhar Ke Khana Khao Q K Me Jab Apne Bacho Ko Doodh Pilatee To Mera Seena Khichta Tha Aur Din Bhar Kaam Karne Ke Bad Jab Dastar Khawn Par Bait Te To Me Intizar Karti Ke Mujhe Ab Khana Milega Q K Khana Meri Saas Maa Hi Parosti Hain Aur Meri Saas Mujhe Dihan Bhi Nahi Dete Ke Usse Khana Dena Chayee Aur Mehfil Me Family Ke Sath Baith Kar Khana Mangna Mujhe Uncomfortable Lagta Hai.nnLekin Mere Husband Samajh Jate Aur Apne Plate Ka Khana Mere Plate Me Dal Dete Aur Kehte Yeh Khana Mene Ziyada Le Liya Hai Tum Please Khalo.Aur Me Samajh Jati Mere Husband Meri Pait Bharne Ke Liye Aisa Karte Hai. Aur Mere Husband Apni Maa Ko Bohut Pyar Karte Hai Aur Har Din Wahi Gharpe Khich Khich Chothi Chothi Bato Pe Jaghde Karna Tana Marna Kafi Dino Se Bardasht Karrahi Hu?Aur Mera Beta Mehez 2yrs Ka Hai Uske Sath Bhi Unka Rawayaa Khuch Dosre Pote Ke Barabar Nahi Hai Aur Mere Sasur Hamesha Mujhe Kehte Ke To Sabr Kar Aur Dosri Jaghe Ya Meri Nanad Ke Ghar Pe Shikayat Karte Aur Aise Me Mere Khuda Ke Elawah Mera Is Haqiqat Ko Koi Nahi Samajh Raha Hai..To Kiya Me Apne Husband Se Alag Hone Ka Mutalba Kar Sakti Hu ?nnKya Phir Mujhe Ek Bete Ko Apne Maa Se Juda Karne Ke Wajhe Se Sharriyat Me Pakad Hoti?Yah Aap Batao Me Kiya Karu Me Din Ba Din Ghutan Mehsus Karrahi Hu.Aur Husband Ke Liye Rozi Ke Liye Duwa Ki Darkhast Jazak AllahnnANSWERnnAgar Aurat Ke Liye Alag Rehne Ke Liye Us Ghar Me Aisi Jagah Hai Jahan Tanhaai Ho Sakti Ho Yaani Khilwat Paayi Ja Sakti Ho Ab Aurat Ko Shauhar Se Dosra Ghar Lene Aur Us Ke Maan Baap Se Alag Karne Ka Haq Nahi. Is Surat Me Shauhar Ko Uske Walidain Se Juda Karne Par Pakad Hogi.nnAurat Ko Chahiye K Wo Sabr Kare, Aur Zaban Darazi Na Kare, Na Jawab De. Balke Unse Apne Walidain Jaisa Bartaao Kare, Aur Un Ke Gussa O Gazab Ko Bardasht Kare.nnRozana Fajr Ki Sunnat Aur Farz Ke Darmiyaan 100 Martaba Sub?HanAllahi Wa BiHamdihi Sub?HanAllahil Azeem Wa BiHamdihi Astaghfirullah. Parhen ??? ??????????????? ??????????? Rizq Me Barkat Hogi.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar QadrinKhadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????