Ek aisa admi hai jo chori ke paiso se khane peene ki cheez khareed kar le gaya

Us khane ko uske ghar walo ne khaya to kya us chori ke gunah me uske ghar wale bhi mubtila honge.

Jabki uske ghar walo ko chori ke silsile mein kuch maloom nahi hai?

Jawab:

Chori karna Sakht Haraam Hai.

Aisa karne wala Gunahgar Mustahiqq e Azab e Naar Mustaujib e Gazab e Jabbar Murtakib e Kabeera hai.

Chori ke paiso se Khareedi gayi cheez Bhi Na Jaayez o Haraam.

Agar Anjaane mein kisi ne kha liya, to us par Koi Gunaah nahi.

Maloom hone ke baad tauba o istegfaar kar le.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love