Hazrat ek bhai ka ye sawal hai Ki uski wife Ne B.Ed me admission liya hai or B.Ed me compulsory saari pahenni padti hai

or waha gents log bhi hote hai.

To kya is haal me B.ed ki degree Lena sahi hoga.

Kya isme gunah hoga, agar guna ho to isse bachne ka tarika bataye jisse B.ed kar sake.

Jawab:

Aurato ko Aisa libas pahenna jisse Jism ke wo hisse nazar aate ho, jinka chupana farz hai, Haraam sakht haraam hai.

Aisi Ta’leem hasil karna, jisme is tarah ke Gunaah ka aab karna pade Wo bhi Jaayez nahi.

Lehaza agar waaqai iske begair B.ed ki taleem hasil nahi kar sakti.

To wo Hargiz ye taleem hasil na karein, aur shauhar par bhi lazim hai ke wo mana karein.

Warna wo bhi gunahgar hoga.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love