Kisi sunni ladke ka nikah kisi badmazhab se ho nahi sakta hai

Aur agar aisa ho to woh nikah nahi haraamkaari hai.

Arz ye hai ke agar koi ye kar raha ho aur uska baap ya rishtedaar card dene ya daawat dene aaye aur unko kisi ne mubaarak keh diya ye jaante huwe ke to us mubaarak kehne waale par kya hukm hai?

Aur agar kisi ne bekhayaali mein Mubarakbaad de diya us par kya hukm hai?

Jawab:

Jaante hue Mubarak baad dena ye zina par Mubarak baad dena hua.

Aisa karne waale par tauba o tajdeed e iman laazim hai.

Aur be khayali mein kisi ne kaha to wo bhi ehtiyaatan tauba o tajdeed e iman karein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love