Kya Aala Hazrat Ne Ansariyon Ke Piche Namaz Padne Se Mana Farmaya?

Kya Farmate Hai Ulma E Deen Wa Muftiyan E Sharah Matin Madarja Zail Masla Mein Ke Logo Se Suna Hai Ke Imam E Ahl E Sunnat Ahmad Raza Khan Sahab Barelvi Ne Farmaya Hai Ke Jola Hai (Ansari) Ki Imamat Durusat Nahi?nnKya Yeh Sahi Bat Hai?nnJawab:nnMujadeed E Azam Imam Ahmad Raza Quds Sira Par Yeh Bohtaan Hai Aur Iftara Hai Ke Unhone Farmaya Hai Ke Jula Hai Ki Imamat Durusat Nahi.nnIske Jawab Me Yahi Kahna Kafi Hai. “Jhootho Par ALLAH Ki Laanat”.nnIske Bar Khilaaf Hazrat Quds Sira Apni Namaz E Janaza Ke Barein Mein Yeh Wasiyat Farmai Ke Al Mant Ul Matar Mein Ahadees Me Warid Namaz E Janaza Ki Tamaam Duyain Darj Hai.nnAgar Hamid Raza Ko Wo Tamaam Duayein Yaad Ho To, Wo Meri Namaz E Janaza Padaye.nnWarna Amjad Ali Sahab Padaye.nnYani Hafiz E Millat Quds Sira Ke Ustaz Hazrat Sadrush Shariah Maulana Amjad Ali Sahab Quds Sira Jo Zaat Ke Ansari The Aur Aala Hazrat Quds Sira Ko Yeh Malum Bhi Tha.nnKhud Yeh Khadim 11 Saal Bareli Raha Aur Aala Hazrat Ki Masjid Me Imamat Karta Raha.nnHazrat Mufti E Azam E Hind Ne Mujhe Imamat Ka Mansab Ata Farmaya, Jumuah, 5 Waqta Khud Meri Iqtada Mein Hazrat Mufti E Azam Quds Sira Padte Rahe.nnWallahu Ta’la Allam.nnFatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 367

Share your love