Is Muqdas Sanduq Taboot E Sakina Mein Hazrat Musa Allaihissallam Ka Asa Aur Unki Muqdas Jutiyah
Aur Hazrat Harun Allaihissallam Ka Imama,
Hazrat Sulemaan Allaihissallam Ki Anguthi,
Taurait Ki Takhtiyon Ke Chand Tukde, Kuch Man Wa Salwa,
Iske Ilawa Hazrat Ambiyah E Kiram Allaihissallam Ki Surato Ke Huliye Wagera Sab Samaan The.
Tafsir Ruh Ul Bayan
Quran Majeed Mein Khuda Wand Qudus Ne Surah Baqra Mein Is Muqdas Sanduq Ka Tazkira Farmate Hue Irshad Farmaya :
Tarjumah E Kanzul Iman
Aur Unse Ke Nabi Ne Farmaya Uski Badshahi Ki Nishani Yeh Hai Ke Aye Tumhare Pass Taboot Jisme Tumhare Rab Ki Taraf Se Dilo Ka Chain Hai Aur Kuch Bachi Hui Chizein Hai Muazaz Musa Aur Muazaz Haroon Ki Turka Ke, Uthhate Laye Gaye Use Farishtein Beshak Usme Badi Nishani Hai Tumhare Liye Agar Imaan Rakhte Hon.
Parah 2 Surah Baqra Ayat 248
Dars E Hidayat:
Bani Israil Ke Sanduq Ke Is Waqiah Se Chand Masail Wa Fawaid Par Roshni Padti Hai Jo Yaad Rakhne Ke Qabil Hai:
1) Malum Huwa Ke Buzurago Ke Tabarrukaat Ki Khuda Wand Qudus Ke Darbaar Mein Badi Izzat Wa Azmat Hai.
Aur Unke Zariya E Makhluq Khuda Ko Bade Bade Fayuz Wa Barkaat Hasil Hote Hai.
Dekh Lo ! Is Sanduq Taboot E Sakina Mein
Hazrat Musa Allaihissallam Ki Jutiyah, Apka Asa
Aur Hazrat Harun Allahissallam Ki Padgi Thi,
To ALLAH Ta’la Ki Bargah Mein Yeh Sanduq Taboot E Sakina Is Qadr Maqbul Aur Mukram Wa Muazam Ho Gaya Ke Farishto Ne Usko Apne Noorani Kandho Par Uthha Kar Hazrat Shamul Allaihissallam Ke Darbar E Nabuwat Mein Pohchaya Aur Khuda Wand Quds Ne Quran Majeed Mein Is Baat Ki Shahadat Di.
Yani Is Sanduq Taboot E Sakina Mein Tumhare Rab Ki Taraf Se Sakina Yani Momino Ke Qulub Ka Itminan Aur Unki Ruho Ki Taskin Ka Saman Tha.
Matlab Yeh Ke Is Par Rehmat E Ilahi Ke Anwar Wa Barkaat Ka Nuzul Aur Uspar Rehmato Ki Barish Huwa Karti Thi.
To Malum Huwa Ke Buzurgo Ke Tabarrukaat Jaha Aur Jis Jagah Bhi Hoge Zaroor Un Par Rehmat Khudawandi Ka Nuzul Hoga.
Aur Us Par Nazil Hone Wali Rehmato Aur Barkato Se Mominin Ko Sukun E Qalb Aur Itminan E Ruh Ke Fayuz Wa Barkaat Milte Rahege.
2) Jis Sanduq Taboot E Sakina Mein ALLAH Walo Ke Libaas Wa Asa Aur Jutiya Ho Jab Us Sanduq Aur Itminan Nahi Utarega
Har Aqil Insan Jisko Khuda Wand Alam Ne Basaarat Ke Sath Imani Basirat Bhi Ata Farmai Hai.
Wo Zaroor Is Baat Par Imaan Layega Ke Jab Buzurago Ke Libaas Aur Unki Jutiyon Par Sakina Rehmat Ka Nuzul Hota Hai.
To Un Buzurago Ki Qabro Par Bhi Rehmat E Khudawandi Ka Khazina Zaroor Nazil Hoga.
Aur Jab Buzurago Ki Qabro Par Rehmato Ki Barish Hoti Hai.
To Jo Musalman Un Muqdas Qabro Ke Pass Hazir Hoga Zaroor Us Par Bhi Barish E Anwaar Rehmat Ke Chand Qatrat Baras Hi Jayenge.
Kyun Ke Jo Musladhar Barish Mein Khada Hoga Zaror Uska Kapda Aur Badan Bhigega, Jo Dariya Mein Gauta Lagayega Zaroor Uska Badan Pani Se Tar Hoga, Jo Atar Ki Dukan Par Baithega Zaroor Us Ko Khushbuh Nasib Hogi.
To Sabit Ho Gaya Ke Jo Buzurago Ki Qabro Par Hazri Dege Zaroor Wo Fayuz Wa Barkaat Ki Daulat Se Malamaal Hoge.
Aur Zaroor Un Par Khuda Ki Rehmato Ka Nuzul Hoga
Jisse Un Ke Musaaib Wa Aalam Dur Hoge Aur Deen Wa Duniya Ke Fawaid Wa Munafah Hasil Hoge.
3) Yeh Bhi Malum Huwa Ke Jo Log Buzurago Ke Tabarrukaat Ya Unki Qabro Ki Ahanat Wa Beadabi Karege Zaroor Qahar Wa Qahaar Aur Gazab E Jabaar Mein Girftaar Hoge.
Kyon Ke Qaum Amalaqa Jinhone Is Sanduq Taboot E Sakina Ki Beadabi Ki Thi Un Par Aisa Qahar E Ilahi Ka Pahad Toota Ke Wo Balao Ke Hujum Se Bilbala Uthhe Aur Kafir Hote Hue Unhone Is Baat Ko Maan Liya Ke Hum Par Balao Aur Wabao Ka Hamla Isi Sanduq Taboot E Sakina Ki Beadabi Ki Wajah Se Huwa Hai.
Chunache Isiliye Un Logo Ne Is Muqdas Sanduq Taboot E Sakina Ko Bail Gadi Par Laad Kar Bani Israil Ki Basti Mein Bhej Diya Take Wo Log Gazab E Ilahi Ki Balao Ke Panja Qahar Se Najaat Paale.
4) Jab Is Sanduq Taboot E Sakina Ki Barkat Se Bani Israil Ko Jihad Mein Fatah Milti Thi To Zaroor Buzurago Ki Qabro Se Bhi Mominin Ki Mushkilaat Dafah Hogi Aur Muradein Puri Hogi Kyu Ke Zahir Hai Ke Buzurago Ke Libaas Se Kahi Zayda Asar Rehmat E Buzurago Ke Badan Mein Hoga.
5) Is Waqiah Se Yeh Bhi Malum Huwa Ke Jo Qaum Sarkashi Aur Asaiyan Ke Tufaan Mein Pad Kar ALLAH Wa Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Nafarman Ho Jati Hai, Us Qaum Ki Naimatein Chhin Li Jati Hai.
Chunache Aap ne Padh Liya Ke Jab Bani Israil Sarkash Ho Kar Khuda Ke Nafarmaan Ho Gaye Aur Qism Qism Ki Badkariyon Mein Padh Kar Gunaho Ka Bhoot Unke Saro Par Afriyat Ban Kar Sawaar Ho Gaya.
To Un Ke Jurmo Ki Nahusat Ne Unhe Yeh Bura Din Dikhaya Ke Sanduq Taboot E Sakina Unke Pass Se Qaum Amalqa Ke Kuffar Uthha Le Gaye Aur Bani Israil Kai Barso Tak Is Naimat E Uzma Se Mehroom Ho Gaye.
Ajaibul Quraan Safah 40
POSTED BY:- Ahle Sunnat Ahle Jannat