Kya kafir se sood le sakta hai?

Jawab:

Sood lena dena haraam hai.

Quran e majeed mein irshad hua ke Allah taala ne khareed o farokht ko halal farmaya aur sood ko haraam farmaya.

Muslim sharif ki hadees hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne laanat farmayi sood khane wale aur uske muakkil aur uske likhne wale aur uske gawaaho par aur farmaya ke ye sab barabar hai.

Lehaza sood Haraam hai.

Musalman se liya jayein ya fir kafir se.

Hindustan mein ho ya arab mein.

Haan! agar na sood kaha jaayein, na sood ki niyat ho.

Balke ek mubaah maal samajh kar leta ho ke kafir e harbi ka maal musalman ke liye mubaah hai jab tak Ahad shikni waada khilaafi Dhoka na ho, To isme harj nahi.

Misal ke taur par kafir ko 100 rupaye diye aur apas ki raza mandi se ye thehra liya ke saal bhar ke baad 125 lunga, to jaayez hai.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love