Makrooh Hai.nnMas’Ala : 2 Baras ke Andar Bachha ka Baap Uski Maa ko Doodh Chudane ko majbur nahi kar sakta. Aur uske baad kar sakta hai.nn(Raddul Muhtaar Safa 338)nnMas’Ala : Aurat ko chahiye ki Bila Jarurat Har Bachha ko doodh na pilaa diya kare Aur pilaayein to khud bhi yaad Rakhe aur Logo se yah Baat kah bhi de.nnAurat ko Bagair Izazat Shohar Kisi Bachha ko Doodh Peelane Makrooh Hai.nnAlbatta Uske halaak hone ka andesha hai to Karahat nahi.nn(Raddul Muhtaar 431) Magar miaad ke andar Rada’At bahar surat saabit.nnMas’Ala : Bachha ne jis Aurat ka doodh piya wah us bachha ki maa ho jaayegi Aur uska Shohar jiska yah doodh hai.nnYaani uski wati se Bachja paida huwa jis se Aurat ka doodh utra Yah doodh peene waale bachhe ka Baap ho jaayega Aur us Aurat ki Tamaam Awlaade uske Bhai bahan khwaah usi Shohar se ho Ya Dusre shohar se uske doodh peene se pahle ki hai Ya Baad ki Ya Saath ki Aur Aurat ke Bhai Mamu Aur usko bahan khala.nnYoonhi uske shohar ke Awlaade Uske bhai Bahan Aur uske Bhai ke chacha Aur uski Bahane uski fufiyaan khwaah shohar ki Yah Awlaade Usi Aurat se ho ya dusri se Yoonhi Har Ek ke Baap maa ke Daad Daadi, Naana Naani.nn(Aalamgeeri 343)nnBahare sharee’at Hissa 07 Safa 26 nn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????