Shariat Ke Mutabik Machhi (Fish) Ke Masail

1– Machhli Ke Halal Ho Jane Ka Sabab Aur

(A) Jo Machhli Jaal Mein Pakdi Gayi Aur Mar Gayi

(B) Jo Machhli Jaal Mein Pakde Jane Ke Baad Bhi Zindah Hai. Fir Use Zabaah Kiya Gaya.

Yahaan Zabaah Karne Ka Asal (Asl) Tarika Bhi Bata Diya Jaayein.

(C) Jo Machhli Saanp Ki Tarah Hoti Hai Aur Jaal Mein Fansne Ke Baad Bhi Zinda Rehti Hai.

Fir Use Zameen Pe Patak-Patak Ke Maar Diya Jaata Hai.

Fir Tukde Karke Pakaaya Jata Hai.

(D) Jo Machhli Ko Paani Ki Tanki Mein, Paala Jata Hai, Ya Rakhaa Jata Fir Bechne Ke waqt, Zinda Hi Kaat Diya Jata Hai.

Jawab:

Jaal Daal Kar Pakdi Gayi Machli Khana Halal Hai.

Chaahein Zinda Ho Ya Mar Gayi Ho.

Haan Agar Mar Kar Phool Gayi To Aisi Machli Khana Jayez Nahi.

Machli Ko Zibah Nahi Kiya Jata Na Hi Us Me Khoon Hota Hai.

Lehaza Use Kaat Kar Paka Kar Khana Jayez Hai.

Pani Mein Saanp Agar Hai To Uska Khana Halal Nahi.

Machli Se Mutalliq Hukm Har Machli Ke Baare Mein Hai Chahein Tank Mein Ho, Ya Dariya Mein.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love