Yazeed ko kafir kehna kaisa hai?

Yazeed ko kafir kehna kaisa hai. Ek sakhs kehta hai ki Imam-E-Azam Abu Hanifa ne yazeed ko na kafir kaha, na musalman kaha

Jawab:

Yazeed Paleed Maa Yastahiqquhu min al azeez il majeed, Qat’an Yaqeenan fasiq o fajir aur kabaair par jari tha is par Ahle sunnat ka ijma hai.

Uske fasiq hone mein kisi ka ikhtelaaf nahi.

Yazeed ko kafir kehne aur Laanat bhejne mein Ikhtelaf hai.

Hazrat Imam e Ahmad Bin Hambal Aur unke muwafiqeen us par laanat farmate hain aur Hamare Imam-e-Azam Laan o takfeer se ehtiyatan sukoot farmate hain.

Ke usse fisq o fujoor mutawatir hai, magar kufr mutawatir nahi.

Isme shak nahi ke yazeed ne zameen mein fasad phailaya, Haramain Tayyebain.

Balke Kaaba e Muazzama aur Rauza-e-aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam ki sakht be hurmati ki, Masjid E Nabavi sharif mein ghode bandhe, unki leed aur peshab mimbar e Paak par pade,

3 din tak Masjid e Nabawi sharif Be-Azan o Namaz rahi.

Makka o Madeena o Hijaz mein hazaro sahaba o Tabe’ien be gunah shaheed kiye gaye,

Kaaba sharif par patthar phenke, gilaaf e kaaba sharif phada aur jalaya gaya,

Madeena Tayyeba ki Paak daman parsa auratein 3 roz tak lashkar par halal kardi gayi.

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke jigar paare ko 3 din begair dana pani rakh kar, humrahiyo ke sath Teg e zulm se pyasa zibah kiya,

Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam ke ghood ke paale hue Tan e Nazneen par Shahadat ke baad Ghode daudaaye gaye ke tamam istekhwaan e Mubarak (Haddi shareef) churr ho gaye,

Sar e Anwar ke Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ka Bosa gaah tha Kaat kar neza par chadhaya aur manzilo phiraya.

Khandan e Risalat ki parda daar Aurato ko qaid kiya gaya aur be hurmati ke sath us khabees yazeed ke darbar mein laaye gaye.

Is se barh kar Qata e Rehm aur zameen par fasad kya hoga.

Mal’oon hai wo jo in Mal’oon Harkaat ko fisq o fujoor na jaane.

Magar ehtiyaat isi mein hai ke uske kufr par sukoot kiya jaayein.

Kyuke marne se pehle Uske tauba na karne par jazm nahi aur nahi kufr mutawatir hai.

Yahi Imam-E-Azam ka mazhab hai.

(Mulakkhasan Fatawa Razvia jild 6 safah 107)

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love