Kuch Sunni Masjido Mein Fazar Namaz Ki Jamat Ek Dam Aakhir Mein ( Tulu Ke Sirf 20 Minute Pehle) Ki Jati Hai

Trustee Se Puchne Mein Aisa Bataya Jata Hai Ke Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ujale Mein Fazar Namaz Ke Padhnewalo Ke Liye Kuch Irshad Farmaya Tha.

Kya Waqai Mein Aisa Kuch Irshad Hai

Jawab:

Fajr Ko Ujaale Mein Parhne Ka Hukm Hai.

Magar Itna Waqt Baaqi Rahe Ke Kabhi Namaz Fasid Hone Par Dobara Sunnat Tilawat E Quran Ke Sath Fajr Ki Namaz Parhi Ja Sake.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love