Qayamat Ke Din Sabse Pehle Kis Cheez Ka Hisab Liya Jayega?

Hadees: Tabraani Ne Ausat Mein Aur Ziya Ne Anas RadiAllahu Taala Anhu Se Riwayat Hai Ki.

Huzoor Sallallahu Alahi Wassallam Ne Farmaya Ki Sab Se Pahle Qayamat Ke Din Bande Se Namaz Ka Hisaab Liya Jayega.

Agar Yah Durust Huyi To Baaki AAMAAL Bhi Theek Rahenge Aur Yah Bigadi To Sab Bigade Aur Ek Riwayat Mein Hai Ki Wah Khaayib Wa Khaasir Huwa.

Hadees: Imaam Ahmed Wa Abu Dawood Wa Nasai Wa Ibne Maaza Ki Riwayat Tamim Daari RadiAllahu Taala Anhu Se Yoon Hai.

Agar Namaz Puri Ki Hai To Puri Likhi Jayegi Aur Puri Nahi Ki (Yaani Us Mein Nuksan Hai) Malaika Se Farmaya Gaya Dekho Mere Bande Ke Nawafil Hoto Unse Farz Pure Kardo.

Phir Zakat Ka Isi Tarah Hisaab Hoga.

Phir Yoon Hi Baaki Aamaal Ka.

Bahar-E-Shari?At Hissa Teesra Safa 07,08

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love