Hazrat kya ek hi janwar ki Qurbani se pure ghar ke afraad ki Qurbani hojayegi ?

Jawab:nnGhaur wa tadabbur aur gehraayi wa geerayi ke sath dekha jaye to,nnHazrat Abu Ayyub Ansari ??? ???????? ?????? ??????????? ki ye hadees. ?????? ???? Ke khilaf nahi, balke unki taayid me hai.nnIs liye ke ahnaaf ke yahan sahib e nisaab par sirf uski taraf se qurbani zaroori hai.nnUski aulaad aur uski biwi ki taraf se uspar qurbani wajib nahi.nnIsi mafhoom ko batane ke liye Hazrat Abu Ayyub Ansari Radiallaho Anhu farmate hain ken??????????? ??? ??? ??? ???? ??? .nnHadees e mazkoor ki tauzeeh is liye ki gayi hai ke agar isse ta’addud ka jawaaz saabit kar diya jaye.nnTo phir Hazrat Jaabir ??? ???????? ?????? ??????????? ki jis hadees me aaya hai kenn??? ????? ? ??? ?? ??? ?? ??? ”nnAur Hazrat Abu Raafe ??? ???????? ?????? ??????????? ki hadees.n?? ???? ? ?? ???? ???? .nnIn dono hadeeso ka taqaazah to ba’zaahir ye hai ke ek bakri Tamaam musalmano ke liye kaafi hai.nnPhir Hazrat Imam Maalik ??? ???????? ?????? ??????????? wa Imam Ahmad Radiallaho Anhu waghairah ka ghar ke afraad ke sath takhsees karne ke kyanma’ne hain?nnNeez agar ek bakre me masalan 7 afraad ki shirkat ko jaayiz maan liya jaye to qurbani ke jaanwar ki aqall miqdaar ek bakri rahi ya uska saatwan 7 hissa raha?nnJab ke aqall miqdaar ek mukammal bakri hone par saare fuqaha ka ijma hai.nnTo kya ye Hazrat hadees ka aisa mafhoom batane ki ijaazat denge jisse khirq e ijma ke ilawah khud unke musallamaat ki tardeed hoti ho?nnNeez agar ek bakre me ghar ke senkro afraad ka shareek hona durust maan liya jaaye to phir hadees e paakn?? ??? ??? ??? ???n?? ????? ?????nKe kya ma’na honge?nnYaani qurbani ki istita’at ka phir Kya mafhoom hoga?nnKyun ke ye baat khilaaf e aql wa mushaahidah hai ke ghar ke senkro afraad mil kar bhi ek bakre ko khareed na sakein ?nnAisi soorat me to har bade kumba aur afraad waale musta’tee shumaar honge.nnAur ek bakra bhi adaa na kar sakne ki soorat me wa’eed e mazkoor ke mustahiq honge.nnAl Gharz in ma’nwi kharaabiyon ke Pesh e nazar yahi ma’na Muraad lena sahi hai ke Abu Ayyub Ansari ??? ???????? ?????? ??????????? ke asar ka matlab ye hai ke,nnHazrat Sahaba ek bakre ki qurbani ke sawab me apne tamaam ghar waale ko shareek kar liya karte the.nnYe matlab hargiz nahi hai ke Adaayi e fareezah ke taur par ek bakri me ghar ke tamaam afraad shareekho jate the.nnIsi mafhoom ki taayid Abu Raafe ??? ???????? ?????? ??????????? ki hadees se bhi hoti hai jis me ye mazkoor hai ke jab aap ? ne apne liye bakri ki qurbani to ek Bachchi ne ye kaha: ???? .nnPhir aap ? ne farmaya ????,Is se bhi yahi samajh me aata hai ke ek bakri me isqaat e fareezah ke liye nahi.nnBalke hadiya e sawab ke liye ta’addud wa ishtiraak jaayiz hai Aur ahnaaf ka yahi mufta bih mazhab hai.nnGhair muqallideen Hazrat Abu Ayyub??? ???????? ?????? ??????????? ki riwayatnke alfaaz” ??? ???? ” ko marfu bata kar isse ta’addud ke jawaaz saabit karne ki jo koshish ki hai wo qaabil e ta’ajjub hone ke ilawa bejaa janbedaari ka bayyin saboot hai.nnUnke yahan jab fel e Sahaba mutlaqan hujjat nahi hai. To Abu Ayyub Ansari ??? ???????? ?????? ??????????? ka mazkoorah fel kaise aur kyun kar hujjat bana?nnIska munsifanah jawab bhi aana chahiye.nnYe tamaam taujeehat to us soorat me hai jab Hazrat Abu Ayyub Ansari ??? ???????? ?????? ??????????? ki hadees ko ma’mool bhi maana jaye warna agar is hadees ko mansookh maan liya jaye jaisa ke khatam ul muhaddiseen Imam tahaawi ne Shariah ma’ni al aasar me muta’addid riwayaton se sabit kiya hai tab to yenmas’alah bilkul be ghubar hi ho jaata hai ke “qurbani ke ek bakre me ek aadmi se ziyadah afraad ki shirkat ka naa jayiz hona hi aqrab ilas sunnah hai.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin?????????????

Share your love