Mayyat ne jo maal chorra usme se sabse pehle kaun sa kaam karein?

1) Kafan,
2)
Qarz,
3)
Wasiyat,
4)
Wariso ka haq

Mas’Ala: Dain wa wasiyat wa Miraas in sab par kafan muqaddam hai.

Aur dain wasiyat par Aur wasiyat miraas par. Yani jo maal Chorre usme se sab se pahle kafan, phir Uske baad Qarz, uske baad wasiyat aur us ke baad wariso ka haq.

Johara

Mas’Ala: Mayyat ne maal chora to kafan us ke jimme hai.

Jiske jimme zindagi me nafka tha, aur agar koyi aisa nahi jis par nafka waajib hota ya hai magar nadar (Bilkul Garib) hai to Baitul maal se diya jaayein.

Aur Baitul maal bhi waha na ho, jaise yaha Hindustan mein to waha ke musalmano par kafan dena farz hai.

Agar malum tha na diya to sab gunahgaar honge aur un logo ke pass bhi nahi to ek kapde ko qadr dusre logo se sawal karle.

Johara, Durre Mukhtaar

Mas’Ala: Aurat ne Agarche maal chora uska kafan Shohar ke zimme hai.

Ba-sharte ki maut ke waqt koyi aisi baat na payi gayi jisse aurat ka nafka shohar par se saakit (khatm) ho jaata.

Agar shohar mara aur uski aurat maaldaar hai jab bhi aurat par kafan waajib nahi.

Aalamgeeri, Durre Mukhtaar
Bahar-e-ShariAt 4hta Hissa Safa No 114

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love