Mayyat ko ghusl dene ka tarika?

Mas’Ala: Mayyat Ko Nahlaana Farz E Kifaya Hai. Baaz (Kuch) Logo ne Ghusl De diya To Sab Se Saakit Ho Gaya.

(Aalamgeeri)

Mas’Ala: Mayyat ko Ghusl / Nahlaane ka Tarika Yah Hai Ki jis Chaarpai, Ya Takhat, Ya Takhate Par Nahlaane ka Irada Ho Usko 3, Ya 5, Ya 7 Baar Dhuni de.

Yaani Jis Cheez mein wah Khushbu Sulgati ho use utni baar chaarpai wagairah ke geerd phiraye.

Aur us par mayyat ko lita kar naaf se Ghutno tak kisi kapdese cheepa le.

Phir mayyat ko ghusl / nahlane wala Apne Haath par kapda lapet kar istinja karaye.

Phir namaz ka sa wazu karaye. (yaani muh, phir kohniyoon samte haath dhooye).

Phir sar ka masah karein phir dhooye magar mayyat ke wazu mein gatto tak pahle haath dhona Aur kulli karana Aur Naak mein paani daalna nahi hai.

Haa Koi kapda, Ya Ruyi Ki Furairi Bheego kar daanto Aur Masudo Aur Hoto Aur Mathno par pher de.

Phir sar Aur daadhi ke baal Ho to Gulekheru (Ek Dawa ka Naam) se dhoye.

Yah na ho to paak saabun islami kaarkhane ka bana huwa besan, ya kisi aur cheez se warna khaali paani bhi kaafi hai.

Phir baayin (left) karwat par leeta kar yunhi kate Aur beri ke patte josh diya huwa paani na ho to khaalis paani Gunguna hi kaafi hai.

Phir tek laga kar baithaye Aur narmi ke saath neeche ko pet par haath phere.

Agar kuch nikle dhooh daale wazu aur ghusl ko dohraye.

Mahi phir Aakhir mein sar se paanw tak kaapur ka paani bahaye.

Phir uske badan ko kisi paak kapde se Aahista poch de.

Bahar-e-sahariat 4th Hissa safa 109

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love