Namaz e Janaza Farz Hai Ya Wajib?

Jawab:

Namaz e Janaza Farz e Kifaya Hai.

Yaani Agar Ek Shakhs Ne Padhli, Toh Sab Chhuthkara Pa Gaye Aur Agar Khabar Ho Jaane Ke Baad Kisi Ne Padhi, Toh Sab Gunahgar Huwe.

Namaz E Janaza Mein Kitni Cheezein Farz Hai?

Jawab:

Namaz E Janaza Mein Do (2) Cheezein Farz Hai.

Chaar (4) Baar “ALLAHU AKBAR” Kehna, Qiyaam Yaani Khada Hona.

Namaz e Janaza Mein Kitni Cheezein Sunnat Hai?

Jawab:

Namaz e Janaza Mein Teen (3) Cheezein Sunnat e Mu’akkada Hai.

ALLAH Ta’ala Ki Sana, Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Par Durood Aur Mayyat Ke Liye Dua.

Namaz e Janaza Padhne Ka Tariqa Kya Hai?

Jawab:

Pehle Niyat Karein .

Niyat Ki Maine Namaz e Janaza Ki Chaar Takbeero Ke Saath ALLAH Ta’ala Ke Liye Dua Is Mayyat Ke Liye (Muqtadi Itna Aur Kahe, Peeche Is Imam Ke) Muh Mera Taraf Kaaba Shareef Ke.

Phir Kaano Tak Dono Hath Uthakar ALLAHU AKBAR Kehta Hua Hath Wapas Laaye Aur Naaf Ke Neeche Bandh Le.

Phir Yeh Sana Padhein

Phir Bagair Hath Uthaye ALLAHU AKBAR Kahe Aur Durood e Ibrahimi Padhein.

Jo Paanch Waqt Ki Namaz Mein Padhein Karte Hai.

Phir Bagair Hath Uthaye ALLAHU AKBAR Kahe Aur Baligh Ka Janaza Ho Toh Yeh Dua Padhein

“Allah hummag fir le hayyena, wa mayyetena, wa shaaedena, wa gaaebena, wa sagheerena, wa kabirena ,wa zakarena ,wa unsana , Allah humma man aah yaiytahu , minna fa aah yehi alal Islam .Waman tawaf faiytahu minna fata waffahu alal Iman.”

Iske Baad Chauthi Takbeer Kahein.

Phir Bagair Koi Dua Padhein Hath Kholkar Salam Pher De aur Na-Balig Bachche Ka Janaza Ho Toh Yeh Dua Padhi Jaayein.

“Allahummaj alho lana faratau waj alho lana ajrau wa zukhrau waj alho lana shafe au wa Mushaffa an.”

Aur Agar Na-Balig Ladki Ka Janaza Ho Toh Yeh Dua Padhein.

“Allahummaj alha lana faratau waj alha lana ajrau wa zukhrau waj alha lana shafiatoñ wa Mushaffa at.”

Share your love