Muqtadi ki kitni qisme hai?

Muqtadi Ki 04 Qisme hai.

1) Mudrik

2) Laahik

3) Masbuk

4) Laahik masbuk

1) MUDRUK Use khete hai jisne awwal rakat se tashahhud tak imam ke saath padhi. Agarche pehli rakat mein imam ke saath ruku hi mein sharik huwa ho.

2) LAAHIK Wah ki imam ke saath pehli Rakat Mein iqtida ki. Magar baad-e-iqteda uski kul Rakatein, Ya Baaz faut ho gayi.

Khwaah ujr se faut ho

Jaise galat, ya bheed ki wajah se Ruku sujud karne na paya, ya namaz mein use hasad ho gaya, ya mukim ne musafir ke peeche iqtida ki, ya namaze khauf mein pahle geeroh ko jo Rakat imam ke saath na mili khwaah bila ujr faut ho.

Jaise imaam se pahle ruku sujud kar liya.

Phir uska iaada (Repeat) bhi na kiya, to imam ki dusri Rakat uski Pehli Rakat hogi.

Aur 3ri, 2ri, 4thi Aur Aakhir mein 1 Rakat padhni hogi.

3) MASBUK Wah hai ki imam ke baaz Rakate padhne ke baad Shaamil huwa Aur Aakhir tak shaamil raha.

4) LAAHIK MASBUK Wah hai jiski kuch Rakatein shuru ki na mili, phir shaamil hone ke baad laahik jo gaya.

BAHAR-E-SHARIAT Hissa 3 Safa 112

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love