Ramzan Sharif ki Jo Zakat Nikalti Hai

Usme se Wo 10 Percentage Zakat Anewale Pure Saal Mein Koi Jarurat Mand Ke Liye Bacha Ke Alag Rakh Deta Hai Aur Usko Ada Kar Dete Hai

To Kya Ye Karna Sahi Hai? Kya Aisa Karne Se Zakat Ada Ho Jayegi?

Jawab:

Agar Zakat Mustahiq ko Pahochti hai to Zakat Ada ho Jayegi.

Magar Saal Mukammal ho Jaane ke Baad Takheer Gunah Hai.

Balke is Tarah Karein Ke Aainda Saal ki Zakat Saal Bhar Dete Rahein aur Saal Mukammal Hone Par Hisab Kar Len.

Jitni Bachi ho Use Ada Kar Dein aur Zyada Nikal Gayi Ho to Use Aainda Mein Add Kar Lein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love