Dr Iqbal Ko Allama Iqbal Kehna Durust Hai?

Allama Ka Literal Meaning Kya Hota Hai? Shariyat Ki Roshni Mein Allama Ka Laqab Kise Diya Jayega?

Jawab:

Allama Ka Maana Hai. Bahot Ilm Waala.

Allama Arabi Ka Lafz Hai Urdu Mein Bhi Mustamal Hai.

Urf E Aam Mein Allama Unhe Hi Kaha Jaata Hai. Jo Ilm E Deen Se Khoob Aarasta Ho Aur Amal Karne Waala Bhi Ho.

Is Wajah Se Dr Iqbal Ko Baaz Ulama Allama Kehne Se Mana Karte Hai.

Jabke Baaz Ulama Is Lehaaz Se Ke Dr Iqbal Ka Naam Allama Se Hi Mashhoor Ho Gaya, To Ba Taur Alam O Pehchan Istemaal Karne Ki Ijaazat Dete Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love